YouTube Se Paise Kaise Kamaye full information

YouTube Se Paise Kaise Kamaye full information, online paise kaise kamaye in hindi. Aap sabhi ne youtube kabhi na kabhi to use zaroor kiya hoga log youtube par videos se kuch na kuch seekhte hai ya apna entertainment karte hai or bhut se log youtube par apne videos bhi upload karte hai lekin aapko maloom hai kya aap youtube par videos upload karke youtube se online paise bhi earn kar sakte hai.

youtube se online paise kaise kamaye




Youtube se online paise kaise milte hai-

Aaj ke samay me sabhi company  apne product ko sell karne ke liye apne product ki advertizing  karti hai or iske liye vo bhut sara amount kharch karti hai or vo apne product ko sell karne ke liye online site ka use karti hai or online site me youtube bhi ek hai company youtube ke pass ati hai or unko apne product ki information deti hai or apni advertizing karti hai.

 Youtube aap ki videos par ads show karta hai or us ad par jab bhi click hota hai to us click ke aapko paise milte hai.


Youtube videos par ads show karne ke liye kya kare-

Youtube videos par ads show karne ke liye aapko google adsense  ka account open karna hoga or usey apne youtube channel se connect karna hoga.


Google adsense kya hai-
Google adsense google dwara banaya gya hai yha par sabhi company paise dekar apne product ki advertizing karwati hai. Or google adsense aapko cpc(cost per click) ke hisaab se paise deta hai.

Apni ads par kabhi bhi click na kare or na hi apni family-friends se click karne ko kahey


Cpc kya hai-
Cpc ka full form hai cost per click matlab jab bhi aapki ads par koi click karega to aapko 1 click par kitne paise milenge. Cpc aapke videos ke content par or jis country se ads par click kiya gya hai us par nirbhar karta hai. Minimum  cpc 0.01$ hoti hai or maximum cpc kitne bhi ho sakti hai india me jyada tar 0.01 hoti jabki America, united kingdom me 1$,2$,5$,10$ hoti hai.


Youtube videos par monetization on kaise kare-

Youtube ne 2018 me apne rules me bada change kiya hai or ab aap apne youtube  channel me tabhi ads show kar sakte hai matlab aap ke youtube channel par monetization tab hoga jab aapke channel par minimum  1000 subscriber ho or  12 month me 1000 hour ka watch time ho.


Youtube se online paise kitna earn kar sakte hai-

Aap  youtube se paise unlimited earn kar sakte hai  bus aapke videos par millions views hona chahiye jo  kabhi kabhi hoga hai vaise aap month kar lagbhag 20000 se 50000 tak earn kar sakte hai lekin iske liye aap ki videos par acchey views hona chahiye.


Youtube par kis type ki video upload nahi karna chahiye-

Aap youtube par sex videos, porn videos, hacking videos, hateful speech , abused, bomb making videos, copyright videos  ya aisei koi bhi video jo public ko kisi bhi roop se paresaan kar upload nahi kar sakte hai.

Copyright strike / community strike kya hai-
Jab aap kisi or ki video, photo, image, song bina uski permition ke upload kar dete hai to aapko  copyright strike aati hai or jab aap hate full speech, porn videos , hack videos, upload karte hai to aapko community strike aati hai yadi aapko lagatar 3 strike aati hai to aapka youtube channel delete ho jayega. Yadi aapko 1 strike aati hai to ye strike apne aap 3 month me apne aap hat jayegi.


Custom url for youtube channel-

Aap apne youtube channel ke liye custom url generate kar sakte hai bus iske liye aap ke youtube channel par minimum 100 subscribers hona chahiye. Custom url ki madad se aapk apne channel ki link ko channel ke name par rakh sakt hai  hai custom url ki madad se aapki video youtube par search me jaldi  uper aayengi


Questions and answers-

Q 1-Kya youtube subscribers ke paise deta hai?      

Ans=Nahi youtube subscribers ke paise nahi deta hai.

Q 2-Kya youtube views ke paise deta hai?

Ans=Nahi youtube views ke paise nahi deta hai jab aapki youtube videos me ads show hoti hai or koi us par click karta hai tab aap ko paise milte hai.

Q 3-Kya youtube  channel ban ho sakta hai?

Ans=Ha youtube channel ban ho sakta hai .

Q 4-Youtube par kitne videos upload kar sakte hai?

Ans=Youtube par unlimited  videos upload kar sakte hai.


Q 5-apni ads par click kar sakte hai?

Ans=Nahi apni ads par click nahi kar sakte hai youtube aapko ban kar dega.

Q 6-youtube channel par kisi or blog ki image, video, songs upload kar sakte hai?

Ans=nahi youtube par song, videos images upload nahi kar sakte hai aapko copy right strike aa jayega.

Q 6-youtube par kitni strike ke baad youtube channel delete ho jata hai?

Ans=-youtube par 3 strike ke baad youtube channel delete ho jata hai.

asa karta hu ki ab aap log samajh hi gayy hoge ki online paise kaise kamaye or yade abhi bhi aap ko youtube se online paise kamane ki jankari samajh me nahi aayi hai to comment kar aap youtube se online paise kamane ki jankari le sakte hai

Comments