ab aap bina internet /offline paytm se karey payment

paytm

paytm se aap online shopping, mobile recharge, railway ticket or money transfer kar sakte hai. ye ek online site hai or ab isey rbi ne online bank ki permission bhi de di hai.aap apne mobile or computer dono se iska use kar sakte hai.aapke paytm wallet me jo paise hai usey aap kabhi bhi apne bank account me transfer kar sakte hai




bina internet paytm se kar sakenge payment

aap sabhi me se  kai log paytm ka use kate honge lekin kabhi-kabhi  aap ke paas internet connection nahi ho to aapko paytm se money transfer karne me badhi paresaani uthani padti hogi.

to is problem ko door karne ke liye paytm ne paytm "tap card" lonch kiya hai jiski madad se aap kisi bhi samay offline money transfer/payment  paytm se kar sakte hai.   

ye card paytm dwara nfc pos terminal me poori tarhey se offline or surakchit hai ye nfc takneek ka upyog karta hai.offline payment karne ki liye aapko "tap card" ke uper diye QR code ko scan karna hoga or kisi bhI A.V.M. machine se verify karke offline payment kar sakte hai.  

paytm isey roll me lane ke liye corporate ke saath milker kaam kar raha hai.payment karne ke liye aapko ise "vyapari terminal" me tap karna hoga.jisse aap payment kar sakte hai.fir aapke paas mobile ho ya na ho paytm aapko ek card degi.

important for security 


  1.   aap mobile ka use karke  to apne paytm wallet se paise apne account me to transfer kar sakte hai lekin aap desktop/computer site ka use karke paytm wallet se paise apne account me transfer nahi kar sakte hai 
  2. aap apne paytm ya kisi bhi online wallet se 24 hours money transfer kar sakte hai. lakin ye practically poori tarhey se sahi nahi hai. kuch security region ke karan aap raat me 11:45 se 12:15 tak money transfer nahi kar sakte hai kyoki is samay date change hoti hai. to aap is time money transfer nahi karey.
  3. aap kabhi bhi paytm payment page par payment karte samay apna page refresh nahi kare.
  4. aapki otp kisi ko bhi na batay.
  5. yadi customer care bhi aap se aapko password,otp poochta hai to unhe bhi na batay ye fraud ho sakta hai company aapki koi bhi detail nahi nahi poochti hai.
  6. yadi aapke account me balance kat gya ho to 48 ghante me yadi vapis nahi aye to turant company ke toll free number par complaint kare

Comments